% \startsong \stitle{kabhii kabhii yuu.Nhii hamane apane jii ko bahalaayaa hai}% \film{non-Film}% \year{}% \starring{}% \singer{Jagjit Singh}% \music{Jagjit Singh}% \lyrics{Nida Fazli}% % % Contributor: Ramesh Hariharan ( rameshh@acad1.tp.ac.sg ) % Transliterator: Rajiv Shridhar ( rajiv@hendrix.coe.neu.edu ) % Date: Thu Aug 3 1995 % Credits: % % % Editor: % Comments: From the album "VISIONS" % \printtitle #indian % kabhii kabhii yuu.Nhii hamane apane jii ko bahalaayaa hai jin baato.n ko khud nahii.n samajhe, auro.n ko samajhaayaa hai hamase puuchho izzat vaalo.n kii izzat kaa haal kabhii hamane bhii is shahar me.n rahakar tho.Daa naam kamaayaa hai usase bichha.De baraso.n biite, lekin aaj na jaane kyo.n aa.Ngan me.n ha.Nsate bachcho.n ko be\-kaaraN dhamakaayaa hai koii milaa to haath milaayaa, kahii.n ga_e to baate.n kii ghar se baahar jab bhii nikale, din bhar bojh uThaayaa hai % #endindian \endsong %