% \startsong \stitle{kasame.n vaade.n pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa}% \film{Upkaar}% \year{}% \starring{Pran, Manoj Kumar}% \singer{Manna De}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Indeevar}% % % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at) % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % kasame vaade pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa koI kisii kaa nahii.n ye jhuuThe, naate hai.n naato.n kaa kyaa kasame vaade pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa hogaa masiihaa \threedots hogaa masiihaa saamane tere phir bhii na tuu bach paayegaa teraa apanaa.a.a.a aa.a.a.a tera apanA khuun hii aakhir tujhako aag lagaayegaa aasamaan me.n \threedots aasamaan me u.Dane vaale miTTii me.n mil jaayegaa kasame vaade pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa sukh me.n tere \threedots sukh me.n tere saath chale.nge dukh me.n sab mukh mo.De.nge duniyaa vaale \threedots duniyaa vaale tere banakar teraa hii dil to.De.nge dete hai.n \threedots dete hai.n bhagavaan ko dhokhaa, inasaa.n ko kyaa chho.De.nge kasame vaade pyaar vafaa sab, baate.n hai.n baato.n kaa kyaa % #endindian \endsong %