% ITRANS SONG # rmim0283; Created on Jan 26, 2004 % % From: Nimish (WarAgainstSpam_@usa.net) % Date: 2002-10-16 18:03:43 PST % \startsong \stitle{ab to nahii.n duniyaa me.n kahii.n apanaa Thikaanaa}% \film{Nadan}% \year{1943}% \starring{Noorjehan, Matadevi, Zillobai, Masood}% \singer{Noorjehan}% \music{K Datta}% \lyrics{Zia Sarhadi}% % % Contributor: Nimish Pachapurkar % Transliterator: Nimish Pachapurkar % Comments: NOOR-E-TARANNUM Series #12 % Date: 16 October 2002 % \printtitle #indian % ab to nahii.n duniyaa me.n kahii.n apanaa Thikaanaa dushman hai zamaanaa ab kis se kahe.n, kaun sune apanaa fasaanaa, dushman hai zamaanaa maanaa ke har ek tarah se laachaar hue hai.n sab kaam hamaare liye dushvaar hue hai.n lekin kabhii sadamo.n se Dare hai.n, na Dare.nge sab sahate rahe.nge ban jaaye.nge taqadiir ke tiiro.n kaa nishaanaa dushman hai zamaanaa (aae_gaa agar jii me.n ki roye.n to ha.Nse.nge)\2 is tarah jiye.nge soyii hu_ii taqadiir ko aataa hai jagaanaa, dushman hai zamaanaa % #endindian \endsong %