% ITRANS SONG # rmim0499; Created on Jan 26, 2004 % \startsong \stitle{kuchh log ruuTh kar bhii}% \film{Pakistani-Film(Andleeb)}% \year{1969}% \starring{}% \singer{Noorjehan}% \music{Nisar Bazmi}% \lyrics{Masroor Anwar}% % % Contributor: % Date: December 23, 2002 % Series: NOOR-E-TARANNUM #35 % \printtitle #indian % kuchh log ruuTh kar bhii lagate hai.n kitane pyaare chup rah ke bhii nazar me.n hai.n pyaar ke ishaare kuchh log ruuTh kar bhii \threedots guzarii hai jo bhii ham par unako bataa_e.n kaise afasaanaa\-e\-Gam\-e\-dil unako sunaae.n kaise ham ne chhupaa liye hai.n palako.n me.n ashk saare kuchh log ruuTh kar bhii \threedots ham unape beruKii kaa ilazaam kyo.n lagaa_e.n unakii jafaa kaa ai dil ham kyo.n buraa manaa_e.n jo chaahe.n ab kare.n vo dil par sitam hamaare kuchh log ruuTh kar bhii \threedots is dil me.n kaise kaise tuufaa.n machal rahe hai.n apanii hii aag me.n ham chup\-chaap jal rahe hai.n hai.n kitane Kuubasurat is aag ke sharaare kuchh log ruuTh kar bhii \threedots % #endindian \endsong %