% ITRANS SONG % \startsong \stitle{laharaatii huii.n raahe.n ... ye ham aa gaye hai.n kahaa.N}% \film{Veer-Zaara}% \year{2004}% \starring{}% \singer{Lata, Udit Narayan}% \music{Madan Mohan}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Audio on: RPG-SaReGaMa % Contributor: Vinay P Jain % Transliterator: Vinay P Jain % Date: 28 Sep 2004. Lata's 75th birthday. % Series: GEETanjali % Comments: Music "recreated" by Sanjeev Kohli % Correction: Satish Kalra % generated using giitaayan % \printtitle #indian u: laharaatii huii.n raahe.n khole hue hai.n baahe.n ye ham aa gaye hai.n kahaa.N la: palako.n pe gahare halke hai.n reshamii dhu.Ndhalake ye ham aa gaye hai.n kahaa.N u: haa.N, ye ham aa gaye hai.n kahaa.N u: wo dekho zaraa parbato.n pe ghaTaae.N hamaarii daastaa.N haule se sunaae.N la: suno to zaraa ye phuulo.n kii waadii hamaarii hii koii kahaanii hai sunaatii u: sapano.n ke is nagar me.n yaado.n kii rahaguzar me.n ye ham aa gaye hai.n kahaa.N la: haa.N, ye ham aa gaye hai.n kahaa.N la: jo raaho.n me.n hai rut ne sonaa bikheraa sunaharaa huaa teraa meraa saveraa u: zamii.n so ga_ii barf kii chaadaro.n me.n bas ik aag sii jalatii hai do dilo.n me.n la: hawaae.N sanasanaae.N badan kaa.Np jaae.N ye ham aa gaye hai.n kahaa.N u: haa.N, ye ham aa gaye hai.n kahaa.N u: ye barasaat bhii kab thame kaun jaane la: tumhe.n mil gaye pyaar ke sau bahaane u: sitaaro.n kii hai jaise baaraat aaii l: hamaare liye raat yuu.N jagamagaaii u: sapane bhii jhilamilaae.N la: dil me.n diye jalaae.N u: ye ham aa gaye hai.n kahaa.N la: haa.N ye ham aa gaye hai.n kahaa.N dono.n: haa.N ye ham aa gaye hai.n kahaa.N #endindian \endsong