% ITRANS SONG % Date: 28 Sep 2004 18:16:44 -0700 % From: vinayakgore@rediffmail.com (Vinayak K.Gore) \startsong \stitle{aaise hai.n sukh sapan hamaare}% \film{Ratnaghar}% \year{1955}% \starring{Shakuntala, Lalita Pawar, Raja Paranjpe, Suryakant}% \singer{Lata}% \music{Sudhir Phadke}% \lyrics{Narendra Sharma}% % Contributor: Vinayak K Gore % Transliterator: Vinayak K Gore % Date: 28 Sep 2004 % generated using giitaayan % Song Courtesy: CD given by Anant Rege at RMIM Meet at Ottawa \printtitle #indian aise hai.n sukh sapan hamaare.n \2 ban ban kar miT jaate jaise baaluu ke ghar nadii kinaare aise hai.n sukh sapan hamaare lahare.n aatii bah bah jaatii rekhaa_e.n bas rah rah jaatii jaatii lahare.n kah kah jaatii jaate pal ko kaun pukaare aise hai.n sukh sapan hamaare aisii in sapano.n kii maayaa jal par jaise chaa.Nd kii chhaayaa chaa.Nd kisii ke haath na aayaa chhaahe jitanaa haath pasaare aise hai.n sukh sapan hamaare man bhar aayaa nainaa chhalake \2 gaalo.n par do aa.Nsuu dhalake yaad kiye kyu.N sapane kalake biite ko tuu kyu.N na bisaare aise hai.n sukh sapan hamaare ban ban kar miT jaate jaise baaluu ke ghar nadii kinaare #endindian \endsong