Fill In The Blanks [16]

tujhe jiivan kii Dor se baa.Ndh liyaa hai

Contributed by U. V. Ravindra



Film: Asli Naqli (1962)
Singer: Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Music: Shankar Jaikishan
Lyrics: Hasrat Jaipuri
ISB Contributor:

rafii:    tujhe jiivan kii Dor se baa.Ndh liyaa hai,
baa.Ndh liyaa hai
tere zulm\-o\-sitam sar aa.Nkho.n par
lataa:mai.nne badale me.n pyaar ke, pyaar diyaa hai,
pyaar diyaa hai
terii Kushiyaa.N aur Gam sar aa.Nkho.n par
rafii: tujhe jiivan kii ...
rafii: (apsaraa koii aae to dekhuu.N nahii.n
koii bahakaaye ha.Nsake to bahakuu.N nahii.n ) \- 2
tore matavaare naino.n ne jaaduu kiyaa
o tore matavaare naino.n ne jaaduu kiyaa
terii ulafat sanam, sar aa.Nkho.n par
lataa: mai.nne badale me.n pyaar ke, pyaar diyaa hai,
pyaar diyaa hai
terii Kushiyaa.N aur Gam sar aa.Nkho.n par
lataa:(mere jiivan kii anamiT kahaanii hai tuu
merii taqadiir aur zi.ndagaanii hai tuu ) \- 2
(liye phirate hai.n sabase chhupaaye hue ) \- 2
terii tasaviir ham, sar aa.Nkho.n par
rafii: tujhe jiivan kii Dor se baa.Ndh liyaa hai,
baa.Ndh liyaa hai
tere zulm\-o\-sitam sar aa.Nkho.n par


Most recordings of this song contain just the two stanzas that the ISB currently lists. However, there is a third stanza that Rafi sings for Dev in the film:

rafii:  (chaa.Nd\-taare bhii hai.n terii parachhaaiaa.N
tujhase roshan huii dil kii gaharaaiyaa.N ) \-2
tere chehare kii jhilamil se ma.nzil milii
o tere chehare kii jhilamil se ma.nzil milii
aisii pyaarii poonam sar aa.Nkho.n par ...


Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article