The ISB version, with minor corrections, is as follows:Film: Shola aur Shabnam (1961)
Singer: Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Music: Khaiyyam
Lyrics: Kaifi Azmi
ISB Contributor: Hari Vattyam
jiit hii le.nge baazii ham tum, khel adhuuraa chhuuTe naa
pyaar ka ba.ndhan, janm kaa ba.ndhan, janm kaa ba.ndhan TuuTe naa
milataa hai jahaa.N dharatii se gagan, aao vahii.n ham jaae.n
tuu mere liye, mai.n tere liye \- 2
is duniyaa ko Thukaraaye.n \- 2
duur basaa le dil kii jannat \- 2
jisako zamaanaa luuTe naa, pyaar kaa ba.ndhan ...
milane kii Kushii naa milane kaa Gam, Katm ye jhaga.De ho jaae.n
tuu tuu naa rahe, mai.n mai.n naa rahuu.N \- 2
ik duuje mai.n kho jaae.n \- 2
mai.n bhii na chho.Duu.N pal bhar daaman \- 2
vo bhii pal bhar ruuThe naa, pyaar kaa ba.ndhan ...
The video has a free rhythm prelude, which does not appear on audio releases of the song:
phuul ko Dhuu.NDhe pyaasaa bha.Nvaraa
diipak ko paravaanaa
duniyaa apane rab ko pukaare \- 2
tujhako teraa diivaanaa
aa jaa, aa jaa, aa jaa, aa jaa
Previous Article | FITB Home | Alphabetical Index | Index by Serial Number | Next Article