Fill In The Blanks [52]

jaane kahaa.N gaye vo din

Contributed by Malini Kanth



The ISB has the usually heard version of this well-known Mukesh song:

Film: Mera Naam Joker (1970)
Singer: Mukesh
Music: Shankar Jaikishan
Lyrics: Hasrat Jaipuri
ISB Contributor:

jaane kahaa.N gaye vo din, kahate the terii raah me.n
nazaro.n ko ham bichhaaye.nge
chaahe kahii.n bhii tum raho, chaahe.nge tumako umr bhar
tumako na bhuul paaye.nge
jaane kahaa.N gaye ...

mere qadam jahaa.N pa.De, sajade kiye the yaar ne \- 2
mujhako rulaa rulaa diyaa, jaatii huii bahaar ne
jaane kahaa.N gaye ...

apanii nazar me.n aaj kal, din bhii a.ndherii raat hai \- 2
saayaa hii apane saath thaa, saayaa hii apane saath hai
jaane kahaa.N gaye ...


I got another stanza from the CD "Tribute to Mukesh by Lata." Mukesh sang this in his last concert in US and Canada. He just sings the first and the new stanza so I'm not sure whether the new stanza is the second or the third.

is dil ke aashiyaa.N me.n ab, unake Kayaal rah gaye \- 2
to.D ke dil vo chal diye, ham phir akele rah gaye
jaane kahaa.N gaye ...


Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article