Fill In The Blanks [70]

aaj kii raat, aaj kii raat chaa.Ndanii a.ng me.n aag lagaaye

Contributed by Surajit A. Bose



HMV's CD of SANGEET SAMRAAT TANSEN / KAVI KALIDAS leaves out many songs and clips most of the rest. Among the clipped ones is this same-sex duet with an interesting choice of singers. The ISB has only those lines that appear on the CD. There are a couple of mistakes (e.g. "baavas" for "paavas"), silently corrected below:

Film: Kavi Kalidas (1959)
Singer: Sabita Banerjee, Usha Mangeshkar
Music: S N Tripathi
Lyrics: Bharat Vyas
ISB Contributor: K Vijay Kumar

savitaa: aaj kii raat
aaj kii raat, aaj kii raat
chaa.Ndanii a.ng me.n aag lagaaye
chakorii jhar jhar niir bahaaye
aaj meraa chandaa nahii.n hai saath
aaj kii raat \threedots

uuShaa: aa, aa haa haa haa, aa haa haa haa
aa haa haa, aa haa, aa haa haa haa
aaj kii raat, aaj kii raat
magan man mand mand musakaaye
chakorii man me.n khil khil jaaye
aaj meraa chandaa hai mere saath
aaj kii raat \threedots

savitaa: basantii R^itu naino.n me.n aaj
ki paavas banake chhaaii hai
niraalii yah puunam kii raat
amaavas banake aayii hai
kise nainan kaa niir dikhaauu.N
kise mai.n man kii piir bataauu.N
aaj meraa chandaa nahii.n hai saath
aaj kii raat \threedots


The ISB leaves out the song's prelude, sung by Sabita:

jise banaayaa khevanahaaraa, vahii aaj kar gayaa kinaaraa
apanaa banaake aaj kisiine luuT liyaa re bhaagya hamaaraa
... and also last stanza, sung by Usha:
aaj kyo.n bajate sananana chhun
mere paa.Nv kii ye paayal
nayan me.n kaun samaayaa re
bikharane lagaa meraa kaajal
aaj mai.n giit priit ke gaau.N
kabhii sharamaauu.N, kabhii musakaauu.N
aaj meraa chandaa hai mere saath
aaj kii raat \threedots
A wonderful song. It belongs to an interesting category: blended tandems, where one singer sings the "viraha" portions and another the "milan" portions within the same song.



Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article