mahe.ndra:
agar mujhe na milii tum to mai.n ye samajhuu.Ngaa
ki dil kii raah se hokar Kushii nahii.n guzarii
aashaa:
agar mujhe na mile tum to mai.n ye samajhuu.Ngii
ki sirf umr kaTii zi.ndagii nahii.n guzarii
aashaa:
fizaa me.n ra.ng nazaaro.n me.n jaan hai tumase
mere li_e ye zamii.n aasamaan hai tumase
Kayaal-o-Kvaab kii duniyaa javaan hai tumase, javaan hai tumase
agar mujhe na mile tum to mai.n ye samajhuu.Ngii
ki Kvaab Kvaab rahe bekasii nahii.n guzarii
mahe.ndra:
agar mujhe na milii tum to mai.n ye samajhuu.Ngaa
ki dil kii raah se hokar Kushii nahii.n guzarii
mahe.ndra:
ba.De yaqiin se mai.nne ye haath maa.Ngaa hai
aashaa:
merii vafaa ne hameshaa kaa saath maa.Ngaa hai
mahe.ndra:
dilo.n kii pyaas ne aab-e-hayaat maa.Ngaa hai
dono.n:
dilo.n kii pyaas ne aab-e-hayaat maa.Ngaa hai
aashaa:
agar mujhe na mile tum to mai.n ye samajhuu.Ngii
ki i.ntazaar kii muddat abhii nahii.n guzarii

|