mahaa shuunya ke mahaan vistaar me.n hai
ek sunaharaa sa.nsaar
ghar hai vahii suuraj aur dharatii kaa
janmii hai.n vahii.n zindagii
paidaa huaa hai pyaar
pyaar kaa, prakaash kaa, suuraj hai mahaa pushhp
usii kii mahak se mahakataa hai maanav man
samay kii sR^ijan kii suuraj hai pahalii muskaan
usii se hai un chaar pahuno.n kaa jiivan sa.ngiit
suhaag kaa, suhaag raat kaa suuraj hai pahalaa pati
aataa hai roz naye ra.ng se, jaataa hai roz naye Dha.ng se
sajataa hai, sajaataa hai praaN priye dharatii ko
mausam kii meha.ndii se, bijurii kii bindii se
indradhanushhii mahavaar se, baadal ke kaajar se
yog kaa, bhog kaa, shaashvat sambhog kaa
suuraj hai mahaa yogii
riiti aur rivaaj hai usii kii paramparaa
kaaryakram usii se, maayaa kram usii se
dR^ishhya bhram usii se
svaya.n vaham usii se
satya...
janmii hai dharatii suuraj se
phir bhii suuraj ko dharatii hai
suuraj hai suuraj dharatii se
par dharatii phir bhii dharatii hai
|