giitaayan An Interface to ISB

ham aise desh ke vaasii hai.n - (Non-film) (1940s)  

Lyrics:  | Music: Dilip Kumar Roy | Singer(s): Dilip Kumar Roy 
View in Nagari (Hindi)
ham aise desh ke vaasii hai.n jahaa.N shok nahii.n aur aah nahii.n jahaa.N moh nahii.n aur taap nahii.n jahaa.N bharam nahii.n aur chaah nahii.n ham aise desh ke vaasii hai.n \threedots jahaa.N prem kii ga.ngaa bahatii hai sab sR^ishhTi aana.ndit rahatii hai jo hai yaa ek chahetii hai din raat nahii.n sa.nvaa nahii.n ham aise desh ke vaasii hai.n \threedots sab ko hai sab kuchh milaa hu_aa yahaa.N sab saudaa hai tulaa hu_aa ik saa.Nche me sab Dhalaa hu_aa kuchh kamii nahii.n parawaah nahii.n ham aise desh ke vaasii hai.n \threedots jahaa.N swaarath ke ruup-naam nahii.n ko_ii Kaas nahii.n ko_ii aam nahii.n ko_ii kartaa aur Gulaam nahii.n jahaa.N diipta virah par daah nahii.n ham aise desh ke vaasii hai.n \threedots tere a.ntar me vo hai, vo swaraaj swadesh hai tere a.ntar me hai nilay, chaahane se milataa hai ham aise desh ke vaasii hai.n \threedots
The song was contributed by Prithviraj Dasgupta on 07.01.2011 07:11:36.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.