aashaa:
(ye havaa ye nadii kaa kinaaraa, chaa.Nd-taaro.n kaa ra.Ngii.n ishaaraa
kah rahaa hai beKabar, ho sake to pyaar kar, ye samaa.N milegaa phir na dobaaraa) (2)
ye havaa ye nadii kaa kinaaraa
(puruSh saathii: raa raa ruu
strii saathii: la la la la la la la laa) (2)
puruSh saathii: raa raa ruu
aashaa:
(ye raat Dhalane na paa_e, hone na paa_e saveraa
tuu bhii uThaa la.nbii palake.n, zulfo.n ko mai.nne bikheraa) (2)
yuu.N hii cha.Ndaa tale, merii naiyaa chale, terii baa.Nho.n kaa leke sahaaraa
mannaa:
ye havaa ye nadii kaa kinaaraa
aashaa:
chaa.Nd-taaro.n kaa ra.Ngii.n ishaaraa
dono.n:
kah rahaa hai beKabar, ho sake to pyaar kar, ye samaa.N milegaa phir na dobaaraa
ye havaa ye nadii kaa kinaaraa
(strii saathii: aajaa, piyaa pyaarii hai.n raate.n
puruSh saathii: gorii, aajaa kar le do baate.n) (2)
(aashaa:
aise mile aaj sai.nyaa, merii nazar terii aa.Nkhe.n
mannaa:
dha.Dakan merii teraa dil ho, lab ho.n mere terii baate.n) (2)
aashaa:
Dare kaahe ko dil, sajanaa khulake mil, kyaa karegaa zamaanaa hamaaraa
mannaa:
Dare kaahe ko dil, gorii aa khulake mil, kyaa karegaa zamaanaa hamaaraa
aashaa:
ye havaa ye nadii kaa kinaaraa
mannaa:
chaa.Nd-taaro.n kaa ra.Ngii.n ishaaraa
dono.n:
kah rahaa hai beKabar, ho sake to pyaar kar, ye samaa.N milegaa phir na dobaaraa
ye havaa ye nadii kaa kinaaraa
|