giitaayan An Interface to ISB

chalo kahii.n aur chalate hai.n - Naya Daur (1977)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore, Asha 
View in Nagari (Hindi)
( chalo kahii.n aur chalate hai.n ) \- 3 sunate hai.n yahaa.N chhupake baate.n log jalate hai.n ( chalo kahii.n aur chalate hai.n ) \- 2 sunate hai.n yahaa.N chhupake baate.n log jalate hai.n chalo kahii.n aur chalate hai.n haa.N ye jagah Kuub hai lekin kitanii dhuup hai pe.D ke niiche baiThe.nge haa.N nahii.n diiwaar ke piichhe baiThe.n diiwaaro.n ke bhii kaan hote hai.n o ho aap yuu.N kyo.n badagumaa.N hote hai.n lo ye Taufii khaaoge kab tak yuu.N ta.Dapaaoge kyaa dil beqaraar hai mushkil intazaar hai meraa bhii ye haal hai shaadii me.n ik saal hai saal me.n kitane din hai.n jitane hai.n tere bin hai.n yahii baate.n sochake to din raat Dhalate hai.n ( chalo kahii.n aur chalate hai.n ) \- 2 sunate hai.n yahaa.N chhupake baate.n log jalate hai.n chalo kahii.n aur chalate hai.n aise tum kyo.n kho gaye ham diiwaane ho gaye haa.N ye diiwaanaapan chho.Do dekho bha_ii dil na to.Do din raat terii yaad aatii hai nii.nd yahaa.N kise aatii hai rut kaa kyaa ishaaraa hai mausam ba.Daa pyaaraa hai phir kab milane aaoge jab bhii tum bulaaoge kal kaa waadaa kar jaao achchhaa ab tum ghar jaao jitanaa waqt bhii apanaa thaa kitanaa sundar sapanaa thaa sapane kabhii kabhii jhuuThe nikalate hai.n ( chalo kahii.n aur chalate hai.n ) \- 2 sunate hai.n yahaa.N chhupake baate.n log jalate hai.n chalo kahii.n aur chalate hai.n chalo kahii.n aur chalate hai.n chalo kahii.n aur chalate hai.n
The song was contributed by Asif Alvi on 01.04.2011 21:16:59.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.