aap kaa khat milaa aap kaa shukriyaa
aap ne yaad mujh ko kiyaa, shukriyaa, shukriyaa
aap kaa khat milaa, shukriyaa, shukriyaa
aap ne yaad mujh ko kiyaa, shukriyaa, shukriyaa
pyaar me.n yaad karanaa hii kaafii nahii.n (2)
aap kii bhuul qaabil-e-maafii nahii.n
ki ruuTh jaaye.nge ham, phir manaanaa sanam
yuu.N kaTaa aap bin ek chhoTaa-saa din
jaise ik saal thaa
dil kaa vo haal thaa
aap ko kyaa Kabar, kyaa hai dard-e-jigar
bas fasaanaa koii, ik bahaanaa koii
likh ke kaaGaz pe bhej diyaa
shukriyaa, shukriyaa
aap likhate hai.n milane kii fur_sat nahii.n (2)
chho.Diye berukhii hai ye ulfat nahii.n
ham ko thaa intazaar dil rahaa beqaraar
shaam tak ham rahe raastaa dekhate
thak gayii jab nazar tab milii ye Kabar
aap aaye nahii.n
kaam thaa kuchh kahii.n
par hame.n Gam nahii.n
ye bhii kuchh kam nahii.n
dil ke badale lifaafaa milaa
shukriyaa, shukriyaa
|