la: prem hai prem hai piyaa man kii madhur ik bhaavanaa
an_bujhii pyaas me.n ik Duubii huii-sii kaamanaa
ni: aao aaj likhe.n adharo.n se adharo.n par ham aisii kavitaa
besudh apanii in saa.Nso.n me.n ghul jaaye jisakii maadakataa
la: saagar kii baa.Nho.n me.n jaise basatii hai saritaa
har gha.Dii aise hii apanii baa.Nho.n me.n mujh ko baa.Ndhanaa
piyaa man kii madhur ik bhaavanaa...
la: aaj praNay kii is belaa me.n meraa har adhikaar mujhe do
mai.n na bhuuluu.N tum na bhuulo aisaa kuchh upahaar mujhe do
ni: tum ye a.NguuThii merii sajanii lo sviikaar karo
do: kam kabhii ho nahii.n priit kii apanii aaraadhanaa
la: piyaa man kii madhur ik bhaavanaa...
|