dil bhii miT jaaye to ulfat dil se jaane kii nahii.n
zi.ndagii terii amaanat hai zamaane kii nahii.n
raate.n jagaake sapane sajaake kaliyaa.N chunii hai.n tere haar ke liye
baiThe biThaaye hamane to haaye duniyaa luTaa dii tere pyaar ke liye
jabase milaa hai tera sahaaraa chamakaa hai mere dil kaa sitaaraa
tuu jo bhii de vo hamako gavaaraa, khushiyaa.N bhii pyaarii Gam bhii hai pyaaraa
o chaahe banaa de, chaahe miTaa de ham hai.n nishaanaa tere vaar ke liye
o siidhe-saade, o bhole-bhaale meraa jahaa.N hai tere havaale
tuu jisape jaaduu nazaro.n kaa Daale sa.Nbhalegaa kaise dil vo sa.Nbhaale
saarii uma.nge.n saarii tara.nge.n machalii huii hai.n sarakaar ke liye
jabase milii hai.n tujhase nigaahe.n mahakii huii hai.n sapano.n kii raahe.n
le le duaae.N de de panaahe.n bas me.n nahii.n hai.n betaab baahe.n
haay, dil bhii hai teraa, jaa.N bhii hai terii dono.n bane hai.n dil_daar ke liye
|