koii na teraa saathii ho, Dagar kahii.n bhii jaatii ho
ai dil ke raahii chal akelaa, chal akelaa, chal
tere piichhe tuufaano.n kii zamiin hai
tere aage bahaaro.n kaa yakiin hai
chhaaye jo tuufaan to chhaane de
bahaare.n phir bhii aaye.ngii
ko_ii na teraa saathii ho ...
ye jo raaho.n me.n kaa.NTo.n bharii dhuul hai
tere dil ke lahuu se ye hii phuul hai
jaaye.n bahaare.n to jaane de
bahaare.n phir bhii aaye.ngii
ko_ii na teraa saathii ho ...
jaise chalataa sitaaraa nahii.n Thaharataa
raahii chal ke dobaaraa nahii.n Thaharataa
pyaare vo ma.nzil to aane de
bahaare.n phir bhii aaye.ngii
ko_ii na teraa saathii ho ...
|