kaam kii dhun me.n hai.n ravaa.N, mast magan hasii.n javaa.N
gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N, gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N
aatii hai.n daftaro.n me.n ye, fasl-e-bahaar kii tarah
pa.Dhatii hai.n Kushk faa_ile.n, naamaa-e-yaar kii tarah
naach rahii hai.n u.Ngaliyaa.N, bol rahii hai.n chuu.Diyaa.N
gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N, gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N
ye jo qariib aa ga_ii.n, duur dilo.n kaa Gam gayaa
pyaar se haath rakh diyaa, dard kaa daur tham gayaa
mehar-o-vafaa kii deviyaa.N, sharm-o-hayaa kii putaliyaa.N
gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N, gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N
apane chaman kaa ra.ng-o-buu, qaum kii apane aabaruu
des ke dil kii aarazuu, saare jahaa.N me.n surKaruu
apane gharo.n kii raaniyaa.N, apane vatan kii paasabaa.N
gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N, gyaarah hazaar la.Dakiyaa.N
|