( diye jalaaye.n pyaar ke
chalo isii Kushii me.n
baras bitaake aa_ii hai
ye shaam zi.ndagii me.n ) -\ 2
( ghul gayaa is saal phir
tan man ke ra.ng me.n
mahakii bahaar banake ) -\ 2
rut phir biitii hu_ii
ban-banake chaa.Ndanii
chehare pe aa_ii chhanake
bhaTak chale.n kisii hasiin
yaad kii galii me.n
baras bitaake aa_ii hai
ye shaam zi.ndagii me.n
diye jalaaye.n pyaar ke
chalo isii Kushii me.n
baras bitaake aa_ii hai
ye shaam zi.ndagii me.n
( jagamag nainaa hu_e
ha.Ns diye palako.n tale
sapane ka_ii suhaane ) -\ 2
pal bhar ke waaste
phirane lage saamane
guzare hu_e zamaane
pukaar le.n gaye hue
dino.n ko beKudii me.n
baras bitaake aa_ii hai
ye shaam zi.ndagii me.n
diye jalaaye.n pyaar ke
chalo isii Kushii me.n
baras bitaake aa_ii hai
ye shaam zi.ndagii me.n
|