ko_ii dil beqaabuu kar gayaa, aur ishqaa dil me.n bhar gayaa
aa.Nkho.n-aa.Nkho.n me.n vo laakho.n gallaa.n kar gayaa oy
o rabbaa mai.n to mar gayaa oy, shaidaa_ii mujhe kar gayaa kar gayaa oy
ab dil chaahe Kaamoshii ke ho.nTho.n pe mai.n likh duu.N, pyaarii-sii baate.n ka_ii
o.a kuchh pal mere naam kare vo, mai.n bhii usake naam pe likhuu.N mulaaqaate.n ka_ii
o.a pahalii-hii takanii me.n bana ga_ii jaan pe
nainaa-vainaa usake mere dil pe chhape
ab jaa_uu.N kahaa.N pe, dil rukaa hai vahaa.N pe
jahaa.N dekhake mujhe vo aage ba.Dh gayaa oy
o rabbaa mai.n to mar gayaa oy, shaidaa_ii mujhe kar gayaa kar gayaa oy
mausam ke aazaad pari.nde haatho.n me.n hai.n usake, yaa vo bahaaro.n-sii hai
sardii kii vo dhuup ke jaisii, garmii kii shaam hai, pahalii phuhaaro.n-sii hai
mere pyaar kaa mausam bhii hai, lage merii maharam bhii hai
jaane kyaa-kyaa do aa.Nkho.n me.n mai.n pa.Dh gayaa oy
o rabbaa mai.n to mar gayaa oy, shaidaa_ii mujhe kar gayaa kar gayaa oy
ko_ii dil beqaabuu kar gayaa ...
|