(ek baar vaadaa karake na aa_e to kyaa hu_aa
sau baar aa chuke hai.n vo vaadaa ki_e baGair)
mere saath-saath sadaa rahaa, vo merii nazar se chhupaa hu_aa
ye ajiib hijr-o-visaal hai, na kabhii milaa na judaa hu_aa
jise le ga_ii hai abhii havaa, vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa hu_aa, kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa hu_aa
mujhe haadaso.n ne sajaa-sajaake bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath hai, me.nhadiyo.n se rachaa hu_aa (?)
mere saath juganuu hai, aur juganuu kii is safar me.n bisaat kyaa
ye charaaG ko_ii charaaG hai, na jalaa hu_aa na bujhaa hu_aa
|