giitaayan An Interface to ISB

dekhate dekhate ek dhuaa.N chhaa gayaa - Sangat (1975)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: Salil Chowdhury | Singer(s): Manna Dey 
View in Nagari (Hindi)
dekhate dekhate ek dhuaa.N chhaa gayaa ye zamii.n kho ga_ii aasamaa.N kho gayaa jaane kyaa ho gayaa dekh kyaa sab nazaare pighalane lage jaagate Kvaab aa.Nkho.n me.n jalane lage ko_ii saa.Nso.n me.n, ko_ii saa.Nso.n me.n ik dard saa bo gayaa ko_ii bahatii nadii ruuh me.n tham ga_ii barf banake labo.n par sadaa jam ga_ii giit jaagaa magar, giit jaagaa magar jaagakar so gayaa dil kii dha.Dakan se guu.Njii.n ye tanhaa_iyaa.N duur tak sirf ashko.n kii parachhaaiyaa.N ko_ii chupake se, ko_ii chupake se is Kaaq par ro gayaa
The song was contributed by Anonymous on 07.07.2014 03:50:05.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.