vo to jaate-jaate ham se khafaa ho gaye
ham bhii baiThe-baiThe un pe fidaa ho gaye
(yuu.N hii raaho.n me.n un kii baaho.n ko
jab ham lage thaamane
laharaaye-se balakhaaye-se
vo ruke mere saamane) -2
phir bhii rukate-rukate vo to havaa ho gaye
ham bhii ...
(aa.Nkho.n-aa.Nkho.n me.n baato.n-baato.n me.n
mai.nne chhe.Dii jo raaginii
ye na puuchhiye kaise ruuThii hai
gore mukha.De kii chaa.Ndanii) -2
gesuu bikhare-bikhare kaalii ghaTaa ho gaye
ham bhii ...
(kaisaa ha.Nsanaa jii kaisaa milanaa jii
nahii.n puuchhaa mizaaj bhii
dil bhii hai vohii ham bhii hai.n vohii
jin ke liye aaj bhii) -2
wohii milate-milate ham se judaa ho gaye
ham bhii ...
|