zindagii ham tere haal par muskuraa_e.N ke royaa kare.n
dard kii dhuup Dhalatii nahii.n kaise raaho.n me.n saayaa kare.n
bhar ke daaman me.n rusavaa_iyaa.N ham pe ha.Nsatii hai.n tanhaaiyaa.N
haay re aalam-e-bebasii tuu hii kah de ke ham kyaa kare.n
raat Gam kii hai Thaharii hu_ii ham hai.n baa.Nho.n me.n tuufaan kii
ko_ii shamaa jale kis tarah dil me.n kaise ujaalaa kare.n
|