naa raajaa rahegaa naa raanii rahegii
ye duniyaa hai faanii aur faanii rahegii
na jab ek bhii zi.ndagaanii rahegii
to maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2
dikhaayegii raaNaa ke raN kii nishaanii
kahegii shivaajii ke praN kii kahaanii
bataaegii muGhalo.n kii baate.n ajaanii
us Gaddaar jayacha.nd kii zi.ndagaanii
ye aapas kii sab badGumaanii kahegii
ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2
jo the desh dushman Ghulaamii ke raahii
lage pherane is vatan par siyaahii
videsho.n kii karane lage vaah-vaahii
gayaa desh haatho.n se aayii tabaahii
ye bhar-bhar ke aa.Nkho.n me.n paanii kahegii
ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2
fir swaata.ntra kaa aisaa sa.ngraam aayaa
ki har aadamii desh ke kaam aayaa
la.Dii viir jhaa.Nsii kii raanii bhavaanii
hazaaro.n ne laakho.n ne Jauhar jalaayaa
ye kurbaaniyaa.N Khud zubaanii kahegii
ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2
swaata.ntra kaa sa.ngraam nahii.n vo baGaavat thii, yahii itihaas kahataa hai
(jalaa do)-2 ye itihaas jhooThe tumhaare
yahaa.n zarre-zarre pe sach hai likhaa re
zulam vo tumhaare sitam vo tumhaare
karo yaad uf kaaranaame vo kaare
ki patthar se aa.Nsuu kii dhaaraa bahegii
ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2
ye maaTii hai tab se ki jab tum naa aaye
ye maaTii rahegii na jab tum rahoge
is maaTii ke niiche dabii hai.n kathaaye.n
jo Khud hii kahegii re tum kyaa kahoge
zamii.n aasamaa.N tharatharaa ke rahegii
ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2
|