giitaayan An Interface to ISB

roshanii se bhare bhare nainaa tere - Asoka (2002)  

Lyrics: Gulzar | Music: Annu Malik | Singer(s): Abhijit, Alka Yagnik 
View in Nagari (Hindi)
roshanii se bhare bhare bhare bhare nainaa tere chhuu ke bole.n na chhuunaa mujhe sapano.n se bhare bhare bhare bhare nainaa tere chhuu ke bole.n na chhuunaa mujhe Dhuu.NDhaa hai Dhuu.NDhaa hai tujhe aakaash uupar tale shaayad kisii badarii me.n lipaTii hu_ii tuu mile aa Dhuu.NDhaa hai Dhuu.NDhaa hai tujhe aakaash uupar tale shaayad kisii nadiyaa pe chalataa hu_aa tuu mile roshanii se ... maine samay se rok ke teraa pataa puuchhaa hai niilii nadii se kah ke saagar tale Dhuu.NDhaa hai o laharo.n pe chalate hu_e paanii ke phan chhuute hai.n jaise tere ye haath ho meraa ye tan chhuute hai.n roshanii se ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.