ho ga_ii taiyaar hamaarii ##army##
maanegii na haar hamaarii ##army##
hausale baaruudo.n vaale saa.Nso.n me.n hai jvaalaa
zi.ndagii ne maaraa hamako maut ne hai paalaa
ho ga_ii taiyaar ...
sar jhukaa_e baiThaa kyo.n bhalaa mere miit muskuraa
saaj ko_ii haatho.n me.n uThaa nayaa giit gunagunaa
aa.ndhii ko rok le.n tuufaa.n ko mo.D de.n
saare jahaan ko ham piichhe chho.D de.n
aage hameshaa ba.Dhatii hii jaa_egii
Daregii na yaar hamaarii ##army##
ho ga_ii taiyaar ...
jaan se pyaarii hai hame.n ek duusare kii jaan
ek duuje ke li_e sadaa ho.nge ham yahaa.n qurbaan
aa.Nkho.n me.n khvaab hai.n siine me.n josh hai
khushiyo.n kii raat hai ab kisako hosh hai
mu.D ke kabhii vaapas na aa_egii
jiitegii sau baar hamaarii ##army##
ho ga_ii taiyaar ...
|