kuchh naa kaho, kuchh bhI naa kaho
kyaa kahanaa hai, kyA sunanaa hai
mujhako pataa hai, tumako pataa hai
samay kaa ye pal, tham saa gayaa hai
aur is pal me.n koI nahii.n hai
bas ek mai.n huu.N bas ek tum ho
shaanU:
kitane gahare halke, shaam ke ra.ng hai.n chhalake
parvat se yuu.N utare baadal jaise aa.Nchal Dhalake
sulagii sulagii saa.Nse.n bahakii bahakii dha.Dakan
mahake mahake shaam ke saaye, pighale pighale tan man
lataa:
khoe sab pahachaane khoe saare apane
samay kii chhalanii se gir girake, khoe saare sapane
hamane jab dekhe the, sundar komal sapane
phuul sitaare parvat baadal sab lagate the apane
|