raah ke taalib hai.n par beraah pa.Date hai.n qadam
dekhi_e kyaa Dhuu.NDhate hai.n aur kyaa paate hai.n ham
apanii bhii kyaa zindagii hai niraalii
jahaa.N ga_e Thukaraa_e ga_e jaise botal khaalii
ra.ngiin vo zamaanaa thaa sapanaa vo kyaa suhaanaa thaa
tab subah-o-shaam Kushiyo.n ke jaam har saa.Ns ek taraanaa thaa
ab to bas har gha.Dii dukh bharii bebasii
aas kii har kiraN ashq ban bah ga_ii
apanii bhii kyaa zindagii ...
kyaa nii.nd kisako sonaa hai ab saarii raat ronaa hai
dukha.De bichhaa ke sab kuchh bhuul ke bas ek baar sonaa hai
zindagii-zindagii o merii laa.Dalii
aa gale mil hai shaayad ye raat aaKarii
apanii bhii kyaa zindagii ...
|