giitaayan An Interface to ISB

suno sajanaa papiihe ne kahaa sabase - Aye Din Bahaar Ke (1966)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aa suno sajanaa papiihe ne suno sajanaa papiihe ne kahaa sabase pukaar ke sambhal jaa_o chaman waalo.n sambhal jaa_o chaman waalo.n ke aaye din bahaar ke suno sajanaa -2 phuulo.n kii Daaliyaa.N bhii yahii giit gaa rahii hai.n gha.Diyaa.N piyaa milan kii nazadiik aa rahii hai.n nazadiik aa rahii hai.n hawaa_o.n ne jo chhe.De hai.n hawaa_o.n ne jo chhe.De hai.n fasaane hai.n wo pyaar ke sambhal jaa_o chaman waalo.n ke aaye din bahaar ke suno sajanaa -2 dekho na aise dekho marazii hai kyaa tumhaarii bechain kar na denaa tumako qasam hamaarii tumako qasam hamaarii hamii.n dushaman na ban jaaye.n hamii.n dushaman na ban jaaye.n kahii.n apane qaraar ke sambhal jaa_o chaman waalo.n ke aaye din bahaar ke suno sajanaa -2 baaGo.n me.n pa.D gaye hai.n saawan ke mast jhuule aisaa samaa.N jo dekhaa raahii bhii raah bhuule raahii bhii raah bhuule ke jii chaahaa yahii.n rakh de.n ke jii chaahaa yahii.n rakh de.n umar saarii Guzaar ke sambhal jaa_o chaman waalo.n ke aaye din bahaar ke suno sajanaa -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.