giitaayan An Interface to ISB

baar baar meraa pyaar mujhe puuchh rahaa diladaar - Albeli (1974)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Mukesh, Nazima 
View in Nagari (Hindi)
baar-baar meraa pyaar mujhe puuchh rahaa diladaar ki aisaa tujhame.n kyaa hai kyaa hai jo meraa chain gayaa hai maine dekhaa hai jab se tujhako chaahaa hai tab se aur mere fasaane me.n kuchh bhii nahii.n mujhako itanaa pataa hai tujhame.n aisii adaa hai naam jisakaa zamaane me.n kuchh bhii nahii.n phir kaise mai.n samajhaa_uu.N aur kaise mai.n batalaa_uu.N ki aisaa tujhame.n ... ye ujaalaa badan kaa chaa.Nd jaise gagan kaa kaise lafzo.n me.n ye ruup Dhal paa_egaa mai.n jo gaanaa bhii chaahuu.N gunagunaanaa bhii chaahuu.N giit meraa adhuuraa saa rah jaa_egaa phir kaise mai.n samajhaa_uu.N aur kaise mai.n batalaa_uu.N ki aisaa tujhame.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.