giitaayan An Interface to ISB

aaraam hai haraam - Apnaa Ghar (1960)  

Lyrics: Prem Dhawan | Music: Ravi | Singer(s): Rafi, Asha 
View in Nagari (Hindi)
aaraam hai haraam tum desh ke kone-kone me.n pahu.Nchaa do ye paiGaam aaraam hai haraam ... dekho pa.De hai.n desh me.n ab tak kitane kaam adhuure milakar haath ba.Dhaa_o tabhii ho sakate hai.n puure jaa_o ek ho jaa_o is desh ko swarg banaa_o bhaarat kaa ho is duniyaa me.n sabase uu.Nchaa naam aaraam hai haraam ... jaat-paat ke bandhan to.Do uu.Nch-niich ko chho.Do na_e samay se na_e jagat se apanaa naataa jo.Do badalaa Dha.ng puraanaa hai nayaa zamaanaa hai aisaa karo saveraa jisakii kabhii na aa_e shaam aaraam hai haraam ... kabhii kisii ke aage na jholii phailaanaa chaahe ruukhii-suukhii hii haatho.n se kamaakar khaanaa yahii hai aan tumhaarii yahii jaan tumhaarii jisame.n apanaa sar jhukataa ho karo na aisaa kaam aaraam hai haraam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.