giitaayan An Interface to ISB

aadamii musaafir hai aataa hai jaataa hai - Apnaapan (1977)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi, Lata/ Lata 
View in Nagari (Hindi)
aadamii musaafir hai aataa hai jaataa hai aate-jaate raste me.n yaade.n chho.D jaataa hai jho.nkaa havaa kaa paanii kaa relaa -2 mele me.n rah jaa_e jo akelaa -2 vo phir akelaa hii rah jaataa hai aadamii musaafir hai ... kyaa saath laa_e kyaa chho.D aa_e raste me.n ham kyaa chho.D aa_e ma.nzil pe jaa ke hii yaad aataa hai aadamii musaafir hai ... jab Dolatii hai jiivan kii naiyaa ko_ii to ban jaataa hai khivaiyaa ko_ii kinaare pe hii Duub jaataa hai aadamii musaafir hai ... rotii hai aa.Nkh jalataa hai ye dil jab apane ghar ke phe.nke diye se aa.Ngan paraayaa jagamagaataa hai aadamii musaafir hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.