giitaayan An Interface to ISB

tere Kayaal me.n ... kahaa.N hai tuu mere ... jawaanii aa ga_ii hai - Afsaanaa (1951)  

Lyrics: Asad Bhopali | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
tere Kayaal me.n bachapan kii zindagii guzarii jawaanii aa_ii to tujhako pukaaratii aa_ii kahaa.N hai tuu mere sapano.n ke raajaa -2 jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa ab to aa jaa qasam hai dil ke aramaano.n kii tujhako -2 qasam bachapan ke afasaano.n kii tujhako vo hii ra.ngiin afasaane sunaa jaa jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa ab to aa jaa tujhe aawaaz dete hai.n sitaare bahaare.n kar rahii hai.n kuchh ishaare kuchh ishaare ishaaro.n kaa mujhe matalab bataa jaa jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa ab to aa jaa zubaa.N pe dil kii baate.n aa ga_ii hai.n -2 ba.Dii bedard raate.n aa ga_ii hai.n merii raato.n ko aa kar jagamagaa jaa jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa ab to aa jaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.