giitaayan An Interface to ISB

bhagavaan tumhaarii duniyaa me.n kyuu.N - Aanbaan (1956)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
bhagavaan tumhaarii duniyaa me.n kyuu.N dil Thukaraa_e jaate hai.n kyuu.N chaahane vaalo.n ke aramaa.N miTTii me.n milaa_e jaate hai.n kyuu.N is bedard zamaane me.n laakho.n hii mahal aashaa_o.n ke har roz banaa_e jaate hai.n har roz miTaa_e jaate hai.n hotii hai buraa_ii kii puujaa is terii andhii duniyaa me.n aur nek insaa.N aa.Nsuu kii tarah nazaro.n se giraa_e jaate hai.n o jiivan baGiyaa ke maalii terii baGiyaa kii yah riit hai kyaa jo phuul khile sehare ke li_e arthii pe cha.Dhaa_e jaate hai.n bhagavaan tumhaarii duniyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.