giitaayan An Interface to ISB

sab kuchh karanaa is duniyaa me.n - Adaa (1951)  

Lyrics: Saraswati Kumar 'Deepak' | Music: Madan Mohan | Singer(s): S D Batish, Asha 
View in Nagari (Hindi)
aa : sab kuchh karanaa is duniyaa me.n pyaar na karanaa bhuul ke kabhii kisii se apanii aa.Nkhe.n chaar na karanaa bhuul ke jii pyaar na karanaa bhuul ke es : sab kuchh kahanaa ye mat kahanaa pyaar na karanaa bhuul ke nazare.n milaa ke ulfat se inkaar na karanaa bhuul ke aa : jii pyaar na karanaa bhuul ke aa : pyaar kiyaa thaa parawaane ne shamaa ne usako jalaa diyaa es : jalane kaa hii naam hai milanaa pyaar ne unako milaa diyaa aa : milane kii is riit ko tum aKtyaar na karanaa bhuul ke kabhii kisii se apanii aa.Nkhe.n chaar na karanaa bhuul ke jii pyaar na karanaa bhuul ke pyaar karoge pachhataa_oge ye duniyaa badanaam karegii badanaam karegii es : laakh kare badanaam mohabbat apanaa uu.Nchaa naam karegii -2 aa : aise uu.Nche naam kaa tum byopaar na karanaa bhuul ke kabhii kisii se apanii aa.Nkhe.n chaar na karanaa bhuul ke jii pyaar na karanaa bhuul ke es : pyaar kare.nge nahii.n Dare.nge binaa pyaar ke duniyaa kyaa hai duniyaa kyaa hai aa : binaa pyaar kii duniyaa sachchii pyaar kii duniyaa me.n dhokhaa hai es : pyaar me.n dhokhe kii baate.n sarakaar na karanaa bhuul se aa : kabhii kisii se es : sab kuchh kahanaa ye mat kahanaa pyaar na karanaa bhuul ke aa : nazare.n milaa ke ulfat se inkaar na karanaa bhuul ke -2 do : sab kuchh kahanaa ye mat kahanaa pyaar na karanaa bhuul ke nazare.n milaa ke ulfat se inkaar na karanaa bhuul ke -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.