giitaayan An Interface to ISB

baad muddat ke ... kar sakegaa naa judaa hamako - Aiye (1949)  

Lyrics: Nakhshab Jaaravchi | Music: Shaukat Haidari | Singer(s): G M Durrani, Lata 
View in Nagari (Hindi)
jii : o baad muddat ke hu_aa duur andheraa Gam kaa la : o aaj se phir merii qisamat kaa sitaaraa chamakaa kar sakegaa naa judaa tumako kabhii hamase zamaanaa -2 jii : chal sakegaa naa kisii kaa bhii ko_ii hamase bahaanaa la : kar sakegaa naa judaa tumako kabhii hamase zamaanaa -2 jii : jo sharte.n lagaa_ii thii.n hu_ii.n aaj wo puurii ke hu_ii.n aaj wo puurii sachchii hai mohabbat to rahe kaise adhuurii to rahe kaise adhuurii la : pa.D ke duniyaa ke jhamelo.n me.n kahii.n bhuul naa jaanaa -2 jii : chal sakegaa naa kisii kaa bhii ko_ii hamase bahaanaa la : kar sakegaa naa judaa tumako kabhii hamase zamaanaa la : o kaliyaa.N hai.n kahii.n phuul kahii.n chaa.Nd-sitaare diiwaanaa hu_aa jaataa hai dil pyaar ke maare jii : aa_o phir gaaye.n gale mil ke mohabbat kaa taraanaa do : aa_o phir gaaye.n gale mil ke mohabbat kaa taraanaa jii : chal sakegaa naa kisii kaa bhii ko_ii hamase bahaanaa -2 do : kar sakegaa naa judaa tumako kabhii hamase zamaanaa -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.