la : kabhii Kaamosh rahate hai.n
kabhii ham aah bharate hai.n
kisii ke vaaste kyaa-kyaa sitam
is dil pe karate hai.n
jo wo nazaro.n me.n nazare.n Daal kar
Kud ham se ye puuchhe.n
to dil pe haath rakh kar
ham bhii kah de.n
##male## : kyaa
la : tum pe marate hai.n
##male## : waah waah waah
subahaan allaah
la : pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N -2
( taras rahii.n a.nkhiyaa.N
baras rahii.n a.nkhiyaa.N ) -2
pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N
ko_ii qadamo.n me.n unake jaa ke
rakh aaye mere dil ko
ke unake saamane khulatii nahii.n
zaalim zabaa.N merii
pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N -2
( taras rahii.n a.nkhiyaa.N
baras rahii.n a.nkhiyaa.N ) -2
pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N
kisii kaa ho ke bhii
usase judaa rahanaa hii pa.Dataa hai
mohabbat ne diyaa jo Gam
wo Gam sahanaa hii pa.Dataa hai
aa
kahaa.N tak dard-e-dil ko_ii
chhupaaye apane siine me.n
ta.Dap uThataa hai jab ye dil
to ye kahanaa hii pa.Dataa hai
##male## : kyaa
la : pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N -2
( taras rahii.n a.nkhiyaa.N
baras rahii.n a.nkhiyaa.N ) -2
pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N
|