aa raag banake pyaar chhaa_e zi.ndagii bhii gunagunaa_e
man kyuu.N na giit gaa_e pa ni dha mere man gaa_e jaa
sapano.n ne sur sajaa_e pa ni dha mere man gaa_e jaa
gaa_e.N jo ham pyaar kii saragam
taal hai huu.N dha.Dakan dha.Dakan dha.Dakan
kabhii yuu.N bhii to ho bas ham tum ho.n
aur suriilii baate.n ho.n
chamakiile.n ho.n din ra.ngii.n shaame.n
aur jhilamil karatii raate.n ho.n
jho.nkaa havaa kaa jo aa_e
pyaar ke ra.ng na_e laa_e
duniyaa ko bhuul ke sapano.n me.n jhuul ke
chhuu le.n ham aasamaa.n aa_o naa meharabaa.n
ho hamako ye rastaa bulaa_e
raag banake pyaar ...
kabhii yuu.N bhii to ho barase chaahat
aur bhiige.n is barasaat me.n ham
hamako na ko_ii bhii hosh rahe
Duube.n aise jazbaat me.n ham
jo dekhe hamako vo ye jaane
shaayad ham dono.n hai.n diivaane
log hairaan ho.n aise ham tum hai.n kyuu.N
dono.n kho_e hai.n kyuu.N dono gumasum hai.n kyuu.N
ko_ii samajh nahii.n paa_e
raag banake pyaar ...
|