kahataa hai ye safar kahatii hai rahaguzar
zamaane bhar ke Gam li_e ummiid dil me.n kam li_e
tum chale ho kahaa.n
kahataa hai ye safar ...
dekhuu.n jahaa.n milataa nahii.n jazbaat kaa nishaan
halkaa saa bhii nishaan
begaane log hai.n anajaane log hai.n
tamaam shahar me.n kahii.n milegaa pyaar hii nahii.n
tum chale ho ...
duniyaa me.n tum kab se ho gum kis raah se ho chale
aakaash ke tale chalate rahe kam na hu_e ma.nzil ke faasale
aise hai.n faasale
raaho.n kii Thokar kahatii hai kyaa kare.n
khulaa ko_ii bhii dar nahii.n
kisii ke dil me.n ghar nahii.n
tum chale ho ...
|