giitaayan An Interface to ISB

teraa naam likh diyaa ... saa.Nso.n pe dha.Dakan pe - Bahaaron Ki Manzil (1991)  

Lyrics: Ravindra Rawal | Music: Ram Laxman | Singer(s): Poornima, Udit Narayan 
View in Nagari (Hindi)
teraa naam likh diyaa saa.Nso.n pe dha.Dakan pe har aarazuu pe har khvaab pe dilarubaa teraa naam likh diyaa bi.ndiyaa pe kaajal pe laalii pe lab kii aa.nchal pe maine piyaa teraa naam likh diyaa jaane tum the kahaa.n jaane ham the kahaa.n pyaar kii ye lagan khii.nch laa_ii yahaa.n husn kaise ruke pyaar jab de sadaa kab talak jism se jaan rahatii judaa phuul kalii patte shaakho.n pe saare gulashan pe ho teraa naam likh diyaa ... lailaa majanuu.n bane hiir raa.njhaa bane diivaane pyaar me.n jaane kyaa kyaa bane seharaa me.n ham chale.n baago.n me.n ham mile.n maut ke baad bhii TuuTe na silasile zamii.n ke zarre pe aakaash kii gardan pe teraa naam likh diyaa ... ik na_ii daastaa.n ham likhe.nge sanam ab ke vaadaa rahaa TuuTegii naa kasam is jahaa.n ke sitam ham sahe.nge nahii.n ek pal bhii alag ab rahe.nge nahii.n apane lahuu se hamane ruuh ke daaman pe teraa naam likh diyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.