giitaayan An Interface to ISB

jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai - Bahu Beti (1965)  

Lyrics: Sahir | Music: Ravi | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai maro to aise ki jaise tumhaaraa kuchh bhii nahii.n ye ek raaz hai ki duniyaa na jisako jaan sakii yahii vo raaz jo zindagii se haasil hai tumhii.n kaho ye raaz tumhe.n kaise samajhaa_uu.N ke zindagii kii ghuTan zindagii kii qaatil hai har ek nigaah ko ye qudarat kaa ishaaraa hai jiyo to aise jiyo ... jahaa.N me.n aa ke jahaa.N se khi.nche-khi.nche na raho vo zindagii hii nahii.n jisame.n aas bujh jaa_e ko_ii bhii pyaas dabaa_e se dab nahii.n sakatii isii se chain milegaa ki pyaas bujh jaa_e ye kahake mu.Dataa hu_aa zindagii kaa dhaaraa hai jiyo to aise jiyo ... ye aasamaa.N ye zamii.n ye fizaa ye nazaare taras rahe hai.n tumhaarii ik nazar ke li_e nazar churaa ke har ek shai ko yuu.N na Thukaraa_o ko_ii shariiq-e-safar Dhuu.NDh lo safar ke li_e bahut qariib se maine tumhe.n pukaaraa hai jiyo to aise jiyo ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.