giitaayan An Interface to ISB

hai bahaar\-e\-baaG\-e\-duniyaa chand roz - Bambai Ka Chor/ Bombay Ka Chor (1962)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Ravi | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
hai bahaar-e-baaG-e-duniyaa chand roz chand roz dekh lo isakaa tamaashaa chand roz chand roz hai bahaar-e-baaG-e- ... laakh daaraa aur sikandar ho ga_e -2 aaj bolo vo kahaa.N sab kho ga_e aa_ii hichakii maut kii aur so ga_e -2 har kisii kaa hai baseraa chand roz chand roz hai bahaar-e-baaG-e- ... kal talaq ra.ngii.n bahaare.n thii jahaa.N aaj qabro.n ke vahaa.N dekhe nishaa.N ra.ng badale har gha.Dii ye aasamaa.N -2 aish-o-Gam jo kuchh bhii dekhaa chand roz chand roz hai bahaar-e-baaG-e- ... kyaa milegaa dil kisii kaa to.D ke le du_aa TuuTe dilo.n ko jo.D ke jaa magar kuchh yaad apanii chho.D ke -2 ho terii duniyaa me.n charchaa chand roz chand roz hai bahaar-e-baaG-e- ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.