giitaayan An Interface to ISB

dhiire chal ai bhiigii havaa - Boy Friend (1961)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
( dhiire chal ) -2 ai bhiigii havaa ke mere bulabul kii hai nii.nd javaa.N ke kahii.n laage naa kisii kii use badanazar ke miiThe sapano.n me.n kho ga_ii hai beKabar dhiire chal ai bhiigii ... cheharaa kahii.n hai zulfe.n kahii.n hai.n hosh kahaa.N hai bhalaa ( is bahaar me.n ) -2 kaliyo.n se kah de aaj na chaTake.n cha.mpaakalii hai so_ii ( i.ntazaar me.n) -2 are ho kitanii dilakashii chhaa_ii hai beKudii haay merii bebasii dhiire chal ai bhiigii ... pyaar kaa bha.Nvaraa kahataa hai tujhe aisii fizaa me.n ( raaganii na gaa ) -2 nii.nd ke saaGar TuuT na jaa_e.N merii qasam tujhe ( shor na machaa ) -2 are ho baadal ba.De pahare hai.n kha.De dil bhii kyaa kare dhiire chal ai bhiigii ... mauje.n rukii hai.n shaakhe.n jhukii hai.n kaise sunaa_e ko_ii ( dil ke raaz ko ) -2 are ho ashq chuum luu.Ngaa bin pi_e dil use nazar duu.Ngaa dhiire chal ai bhiigii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.