giitaayan An Interface to ISB

chal\-chal re naujawaan - Bandhan (1940)  

Lyrics: Pradeep | Music: Ramchandra Pal | Singer(s): Suresh/ Leela Chitnis, Ashok Kumar/ Ashok Kumar, Suresh, Chorus/ Ashok Kumar, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
lii : ( chal-chal re naujawaan a : chalo sa.ng chale.n ham ) -2 lii : duur teraa gaa.Nv aur thake paa.Nv phir bhii raahagiir tum kyuu.N nahii.n adhiir a : tum ho mere sa.ng aashaa hai mere sa.ng tum ho mere sa.ng himmat hai mere sa.ng ( mere saath-saath raho tum qadam-qadam ) -2 do : chalo sa.ng chale.n ham -2 ##whisper## lii : ( kisane kiyaa mujhako ishaaraa a : duur kii manzil se mujhe kisane pukaaraa ) -2 lii : mamataa ne pukaaraa a : bandhan ne pukaaraa lii : tum hii sikhaa rahe ho mujhe giit ye haradam do : chalo sa.ng chale.n ham -2 a : ( kuhu-kuhu bolo merii koyaliyaa man me.n miThaas gholo merii koyaliyaa ) -2 lii : ( kaun taan sunoge zaraa ye to bataa do ) -2 ( biinaa ke bisare huye taar sajaa do ) -2 a : aaj dono.n gaate huye jiiwan saragam do : aaj dono.n gaate huye jiiwan saragam chalo sa.ng chale.n ham -2 chal-chal re naujawaan chalo sa.ng chale.n ham ko : chal-chal re naujawaan kahanaa meraa maan maan chal re naujawaan chal-chal re naujawaan a : duur teraa gaa.Nv aur thake paa.Nv phir bhii tuu haradam aage ba.Dhaa qadam rukanaa teraa kaam nahii.n chalanaa terii shaan ko : chal-chal re naujawaan -2 a : tuu aage ba.Dhe jaa aafat se la.De jaa aa.Ndhii ho yaa tuufaan phaTataa ho aasamaan rukanaa teraa kaam nahii.n chalanaa terii shaan ko : chal-chal re naujawaan -2 a : ye hai zindagii kaa kaaravaa.N aaj yahaa.N aur kal vahaa.N ( phir kyo.n teraa dil hu_aa adhiir phir kyo.n tere naino.n me.n niir ) -2 phir kyo.n tere praano.n me.n piir tuu na sunaa man kii baat kaun sunegaa kaun sunegaa band kar zabaan -2 rukanaa teraa kaam nahii.n chalanaa terii shaan chal-chal re naujawaan -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.