giitaayan An Interface to ISB

ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa - Bikhare Moti (1951)  

Lyrics: Akhtar-ul-Imaan | Music: Ghulam Mohammad | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
( ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa ) -2 bedard hai.n kyaa samajhe.nge wo merii mohabbat -2 aa.Nsuu hai merii aa.Nkh kaa TuuTaa hu_aa taaraa de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa o ( wo aa.Nkh bachaa kar jo mere paas se Guzare ho paas se Guzare ) -2 dil ne unhe.n rah-rah ke ka_ii baar pukaaraa de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa o ( yaad aa gayaa aise me.n hame.n milanaa kisii kaa milanaa kisii kaa ) -2 jaataa thaa kahii.n duur ko_ii dard kaa maaraa de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.