saathii re -3
qadam qadam se dil se dil milaa rahe hai.n ham
vatan me.n ek nayaa chaman khilaa rahe hai.n ham
qadam qadam se ...
ham aaj nii.nv rakh rahe hai.n ( us nijaam kii ) -2
bike na zindagii jahaa.N ( kisii Gulaam kii ) -2
luTe.n na mehanate.n pise hu_e aavaam kii
na bhar sake tijoriyaa.N ko_ii haraam kii
saathii re -2
har ek uu.Nch-niich ko miTaa rahe hai.n ham
qadam qadam se ...
saathii re bhaa_ii re
videshii luuT kii jagah ( ho desii luuT kyo.n ) -2
safed jhuuTh kii jagah ( siyaah jhuuTh kyo.n ) -2
vatan sabhii kaa hai to phir vatan me.n phuuT kyo.n
samaaj ke dushmano.n ko mil rahii hai chhuuT kyo.n
saathii re bhaa_ii re
khulii sabhaa me.n ye savaal uThaa rahe hai.n ham
qadam qadam se ...
saathii re bhaa_ii re
hamaare baaju_o.n me.n ( aa.Ndhiyo.n kaa zor hai ) -2
hamaarii dha.Dakano.n me.n ( baadalo.n kaa shor hai ) -2
hamaare haath me.n vatan kii baagaDor hai
na bach ke jaa sake.nge jinake dil me.n chor hai
saathii re bhaa_ii re
suno ki apanaa faisalaa sunaa rahe hai.n ham
qadam qadam se ...
|