( vo ham na the vo tum na the ) -2 vo rahaguzar thii pyaar kii
luTii jahaa.N pe bevajah ( paalakii bahaar kii ) -2
vo ham na the ...
( ye khel thaa nasiib kaa ) -2 na ha.Ns sake na ro sake
na tuur par pahu.Nch sake na daar par hii so sake
kahaanii kisase ye kahe.n cha.Dhaav kii utaar kii
luTii jahaa.N pe ...
% daar: gallows, suulii, hanging station
tumhii.n the mere rahanumaa tumhii.n the mere hamasafar
tumhii.n the merii roshanii tumhii.n ne mujhako ( dii nazar ) -2
( binaa tumhaare zindagii ) -2 shamaa hai ik mazaar kii
luTii jahaa.N pe ...
( ye kaun saa muqaam hai ) -2 falak nahii.n zamii.n nahii.n
ke shab nahii.n sahar nahii.n ke Gam nahii.n Kushii nahii.n
kahaa.N ye leke aa ga_ii havaa tere dayaar kii
luTii jahaa.N pe ...
guzar rahii hai tumape kyaa banaake hamako dar-ba-dar
ye soch ke udaas huu.N ye soch kar hai ( chashm tar ) -2
( na choT hai ye phuul kii )-2 na hai Kalish ye Kaar kii
luTii jahaa.N pe ...
|